Nojoto: Largest Storytelling Platform

Best SherazAhmad Shayari, Status, Quotes, Stories

Find the Best SherazAhmad Shayari, Status, Quotes from top creators only on Nojoto App. Also find trending photos & videos aboutmovies name for dumb sheraz, sheraz name meaning in urdu, sheraza meaning in urdu, sheraz name meaning, sheraz piya uae cricket,

  • 1 Followers
  • 7 Stories

Faqeer (Sheraz Ahmad)

Love this song *Tasveer Bana K* By Sajjad Ali sang my favorite part from The Song.. #faqeer #covers Song #sajjadali #SherazAhmad

read more

Faqeer (Sheraz Ahmad)

A beautiful Poem by my friend Asma Khanzada. For some it can be just a set of words rhyming to each other. but I see a chasm of deep emotions inside. I just narrated this one for all of you... as a gratitude to this beautiful poet. May God bless you with more Asma. Abhi or khoon jalao gay Abhi or dil se gawao gay bin dard ansu bahein gy ab Bin baat sab se larao gy Jab hoga dard e dil ata Tab roo e dard sunao gy

read more

Faqeer (Sheraz Ahmad)

*Shamein* Main ab usko bta duga Gham e hijran suna dun ga K shamein ab nahein aatein Meray khamosh lamho mein Meray bazooq jazbon mei Meri tanha si mehfil mein Meray totay huay dil mein

read more

Faqeer (Sheraz Ahmad)

#KyaHoga, a thought i am nourishing. a reality which we all know but neglect in the name of positivity and optimism. Do share if it meant reality to you. #faqeer #Poetry #SherazAhmad

read more

Faqeer (Sheraz Ahmad)

Bekarari, bebasi mei nend kam hoti rahi Wo the k, rakh ghair k kandhy pe sir soti rahi Chor mujhko wo gae, phir q najany mujhse hi Bewaja ukhri rahi, pal pal khafa hoti rahi Likhna chaha nam uska Roshani mei chand ki Apny sapno k jahan mei sham hi hoti rahi

read more
#OpenPoetry Bekarari, bebasi mei nend kam hoti rahi
Wo the k, rakh ghair k kandhy pe sir soti rahi

Chor mujhko wo gae, phir q najany mujhse hi
Bewaja ukhri rahi, pal pal khafa hoti rahi

Likhna chaha nam uska Roshani mei chand ki
Apny sapno k jahan mei sham hi hoti rahi

Ainay k samny ho kr khara hasta raha
Ainay mein thi jo ik tasveer bas roti rahi

Apny zakhmo per faqat ansu baha k chup raha
Wo hamesha khush rahy, bas yeh dua hoti rahi

Dobty soraj k sang taza huay meray zakham
Shakal uski chandni mei ru'numa hoti rahi

Likh k tehrirein mita dein phaar dalay sab khatoot
Rafta rafta jism se bhi rooh juda hoti rahi

Aisay toota mera ghr jaisy koi sheesha faqeer
Kirchiyan jiski meray ander fana hoti rahi Bekarari, bebasi mei nend kam hoti rahi
Wo the k, rakh ghair k kandhy pe sir soti rahi

Chor mujhko wo gae, phir q najany mujhse hi
Bewaja ukhri rahi, pal pal khafa hoti rahi

Likhna chaha nam uska Roshani mei chand ki
Apny sapno k jahan mei sham hi hoti rahi

Faqeer (Sheraz Ahmad)

Teray aanay ki khushi mein itna bhi na socha ab ki baar teray anay ki wajah kia hai? Yeh jo jita rahay ho pyar mujhpe bar ha tum Btao theek ho?? Akhir tumhein hua kia hai? Wo barham lafz wo teri berukhi jo mujhse thee Kyn Achay hogaye ho? akhir yeh majra kia hai?

read more
Teray aanay ki khushi mein itna bhi na socha
ab ki baar teray anay ki wajah kia hai? 

Yeh jo jita rahay ho pyar mujhpe bar ha tum
Btao theek ho?? Akhir tumhein hua kia hai? 

Wo barham lafz wo teri berukhi jo mujhse thee
Kyn Achay hogaye ho? akhir yeh majra kia hai? 

Kia kuch rehta meray pass jo tumhara hai? 
ya koi raaz hai, akhir yeh daastan kia hai?

Mujhy bechain krti hai tumhari besabab ulfat
Pareshaan hun k akhir ab tumhein hua kia hai? 

Main manzil to nahein hu apki najanay Phir 
Yeh ab ki bar is manzil ka raasta kia hai

Faqeer ab k baras kia sitam krein gy wo 
Main sab to seh chuka,  akhir ab naya kia hai? Teray aanay ki khushi mein itna bhi na socha
ab ki baar teray anay ki wajah kia hai? 

Yeh jo jita rahay ho pyar mujhpe bar ha tum
Btao theek ho?? Akhir tumhein hua kia hai? 

Wo barham lafz wo teri berukhi jo mujhse thee
Kyn Achay hogaye ho? akhir yeh majra kia hai?

Faqeer (Sheraz Ahmad)

Batana mushkil, Chupana afat Bohat Kathin hai yeh dil lagana Muhabbato k sabhi ghamo ka Ilaaj milna, araam pana Haseen Shamein, Udaas Krna Talas Chehry Qamar mein krna

read more
#OpenPoetry Batana mushkil,  Chupana afat
Bohat Kathin hai yeh dil lagana

Muhabbato k sabhi ghamo ka
Ilaaj milna, araam pana

Haseen Shamein,  Udaas Krna
Talas Chehry Qamar mein krna 
Jala k dil k diyo ko akhir
Azaab sehna, Rooh jalana

Subha saveray sambhalna tan
badlna chehry k naqsh saray
zamanay bhar se ho rubaro jo
Alam chupana or muskurana

nahein hai asaan Yeh ishq e dooraan
Mitana parta hai khud  ko khud se
Jo ishq das ly kisi ko akhir
Hijar bhi sehna, Zakham hai khana

Batana mushkil,  Chupana afat
Bohat Kathin hai yeh dil lagana Batana mushkil,  Chupana afat
Bohat Kathin hai yeh dil lagana

Muhabbato k sabhi ghamo ka
Ilaaj milna, araam pana

Haseen Shamein,  Udaas Krna
Talas Chehry Qamar mein krna

Follow us on social media:

For Best Experience, Download Nojoto

Home
Explore
Events
Notification
Profile