Nojoto: Largest Storytelling Platform

Best AfsanaNigaari Shayari, Status, Quotes, Stories

Find the Best AfsanaNigaari Shayari, Status, Quotes from top creators only on Nojoto App. Also find trending photos & videos aboutlove shayri related to afsana 0, pyar to zindagi ka afsana hai, yenkna song by afsana khan, afsana meaning in hindi, afsana shayari,

  • 2 Followers
  • 6 Stories

Mohd Anas Alig

Andar Se Ik Larhki Ki Aawaaz Rote Hue, Chikhte Hue Bahar Tak Sunaai De Rahi Thi Or Bahar Ik Orat Boht Der Se Kisi Ka Intzaar Kar Rahi Thi, Sath Mai Chota Bachcha Bhi Tha Us Orat Ki God Mai Usko Jese Taise Kar Ke Chup Karwa Rahi Thi Wo Boht Roo Raha Tha Tabhi Ik Aadmi Ne Us Orat Se Kaha Boht Upar Jaayegi Teri Beti Boht Acha Kiya Jo Tu Usko Yaha Le Aai Ab Tu Bass Dekhti Jaa Mai Use Kaha Se Kaha Pohchata Hu Abhi Umar Hi Kya Hai Uski 14  15 Saal Ki Hi To Hai, Tu Bass Dekhna Ab, Itna Keh Kar Wo Aadmi Chala Gaya Or Tabhi Us Kamre Ka Darwaza Khulta Hai Or Ik Lamba Chaurha Aadmi Hath Mai Sharaab Ki Bottle Liye Bahar Aata Hai Darwaza Khulte Hi Wo Orat Bhaag Kar Andar Jaati Hai Or Us Larhki Ko Gale Se Laga Kr Betahasha Rone Lagti Hai Or Usse Kehti Hai "MUJHE MAAF KAR DENA MERI BETI MERE PAAS OR KOI RAASTA NHI THA MUJHE MAAF KAR DENA"... #AfsanaNigaari #Kahani #UrduAdab #AajKaSamaaj
#ShortStory #Bebaqi #Mantoiyat

Mohd Anas Alig

Yamini Ko Dard Ab Saha nhi Jaa Raha Tha uske Aansu bass Uski Aankho Ki Chaukhat Tak Aa Chuke The Wo Soch Hi Rahi Thi Ke ab Kya Karu itne mai Uski Maa Ne Use Pukaara
"YAMINI JALDI TAYYAR HO KE AAO"
Yamini Kuch Soch Kar Muskuraai Wo Soch Rahi Thi Ye Dard To Bass 3  4 Din Ka Hai Sahi Ho Jayega Lekin Is Dard Ka Kya Karu Jo Har Roz Itne Saalo Se Mujhe Khaye Jaa Raha Hai.... Phir se Yamini Ko Uski Maa Ki Aawaaz Sunaai Deti Hai " YAMINI JALDI AAO KOTHE PAR SABKO TUMHARA HI INTZAAR HAI MEHFIL JAM CHUKI HAI". ... #AfsanaNigaari #Kahani #UrduAdab #AajKaSamaaj
#ShortStory #Bebaqi #Mantoiyat

Mohd Anas Alig

Yarr Maal Lag Rahi Hai Yeto iski Mil Jaaye To Maza Aajaayeee....
Aayeee Haayee Janemann !!!!

Qasim Ne Apne Dost Sahil Se ik Larhki Ko Dekhte Hue Kaha Usi Khoke Par Kharhe Hokar Jaha Wo Har Roz Waqt Guzaarne Aate The.

Sahil Ko Samajh Nhi Aaya Wo Kya Bole Wo Fauran Qasim K Paas Se Jaane Laga Ye Keh Kar Ke Aaj Ke Baad Nhi Milna..

Qasim Ne Usse Wajah Puchi To Sahil Ne Kaha
WO MERI BEHEN THI... #AfsanaNigaari #Kahani #UrduAdab #AajKaSamaaj
#ShortStory #Bebaqi #Mantoiyat

Mohd Anas Alig

Uske Badan Se Badbu Aa Rahi Thi Lekin Mai Kya Karti Mera To Yehi Kaam Tha Na Usne Jesa Mujhse Kaha Mene Wesa Wesa Kiya Boht Dard Bhi Hua Lekin Mai Kya Karti Choti Behen Ki Fees Ammi Abbu Ki Dawaai Or Ghar Ka Kiraaya , Apne Ghar Ki Mai Hi Barhi Huna To Sab Kuch Mujhe Dekhna Hai , Jab Kisi Se Kaam Maangne Jaati To Sab Gandi Nazre Daalte Or Mera Fayda Uthana Chahte To Un Saare Kamo Se Acha Mujhe Ye Kaam Laga Ismai Koi Apka Fayda Nhi Uthana Chahta Koi Gandi Nazre Bhi Nhi Daalta Kyunke Jo Wo Karna Chahta Hai Ham Khud Karwaate Hain Or Uske Paise Wo Khushi Khushi Deta hai , Majburi Lachaari Or Fikr Ne Kaha Se Kaha La Diya Mujhe Pehle Har Raat Sukun Se Soti Thi Ab Din Mai Sone Ki Koshish Karti Hu... #AfsanaNigaari #Kahani #UrduAdab #AajKaSamaaj
#ShortStory #Bebaqi #Mantoiyat

Mohd Anas Alig

Suman ne Apni Shalwaar Utaardi Or Usse Kaha Mai Tayyar Hu Ab Mujhe Kisi Baat Ki Fikr Nhi Tum Jo Chaho Mere Sath Kar Sakte Ho , Ye Sab Dekh Kar Majid Ghabra Gaya Or Fauran Kamre Ke Andar Se Bahar Ye Kehta Hua Nikal Gaya Ke Maine Tumse Muhabbat Ki Hai Or Yeh Muhabbat Ruhaani Hai Sirf Jismaani Nhi.... #AfsanaNigaari #Kahani #UrduAdab #AajKaSamaaj
#ShortStory #Bebaqi #Mantoiyat

Follow us on social media:

For Best Experience, Download Nojoto

Home
Explore
Events
Notification
Profile