Nojoto: Largest Storytelling Platform

Best badhti Shayari, Status, Quotes, Stories

Find the Best badhti Shayari, Status, Quotes from top creators only on Nojoto App. Also find trending photos & videos aboutshayari on badhti umar, paragraph on badhti jansankhya in hindi, essay on badhti jansankhya in hindi, badhti umar ki shayari, hindi essay on badhti jansankhya,

  • 16 Followers
  • 58 Stories

Kumar Vimal

Neha Sahu

#badhti huyi tmari yadon me mai #Kathakaar

read more

Neha Sahu

#badhti huyi tmari yadon me mai #Kathakaar

read more

Vikas Sahni

कविता न मिली,
कविता की खूबसूरती 
बढती रही..!!

                     ...by Vikas Sahni #Khoobsoorati #Badhti #Rahi... #by #Vikas #Sahni

विकास शाक्य

read more
safar me mushkilen aayen to himmat aur badhti hai ...
koi agar rasta roke to zurrat aur badhti hai...
agar bikne pe aa jaao to ghat jaate hain daam aksar....
na bikne ka irada ho to queemat aur badhti hai...
  abhi to qeemat ka pata chala hai zamane ko.

Abu bakar Yazdani

read more
mohabbat ek raste ke manind hi badhti hi to badhti rhti hi aur ghatna ho to khin ka nhi chodti hi

Rohit Bisht

🤫ANKAHI BAATEIN🤐

kuch baatein dil me esi hoti hai na jisse  hum chah kar bhi kisiko bata nhi paate..
or aksar yhi baatein dil me ek bojh ki tarh badhti jaati hai...
kabhi kabhi ye baatein sirf baatein nhi humari feelings emotions sab kuch hote hai jo aksar hum dusro ko btane se darte hai...
dar hota h ki hum unke samne kahi majak ban kar na reh jaaye...
or jitni ye baatein dil me badhti jaati h dil k jakham utne hi gehre hote jaate hai...
kbhi ye baatein ye feelings kisi banda ya bandi k liye hote hai..
jo hum unse kabhi share hi ni kar paate humare andar itne gutts hi ni hote ki hum unko samne se face kar sake
hum pehle hi judgemental hokar haar maan lete hai ....
atleast try karne me to koi burayi nahi lekin baat mehaz koshish karne ki nahi hoti ...
hume pehle hi pta hota hai ki unko humare emotions ki jara bhi kadar nahi...
kabhi kabhi to mann krta h ki jakr saari baatein unse share krle lekin kahi na kahi ye khudko pta hota hai ki vo humare paas sirf kisi matlab se hai...
lekin humari yhi ankahi baatein hume unse ek alag level ka attachment deti hai...
jo hume kabhi unse dur jaane hi nahi detii
chahe lakh koshish bhi krlo lekin humari ye baatein unhe kbhi samajh hi ni aati..
aati bhi hai tb bhi vo anjaan bankar usse taalte rehte hai...
esi kuch ankahi baatein kisi se na hi kahi jaaye to hi jyada better hai...

agar unke pass bhi humare liye same feelings same emotions honge to vo ye ankahi baatein bina kahe hi dil ki najro se padh lenge😇

-ROHIT #ankahi baatein... 
#love_story
#love
#story
#reality

Nishant Sobti

A very painful story this time.... Its true story..... It's my story 😔

read more
Piles: A Very Painful and Dangerous Disease

October 2012 mein mujhe ek problem hui thi….jab bhi mai kahin baithta tha ya bhaagta tha ya chalta tha tab mere bum mein se bleeding hoti thi. Kuch dinon tak maine iss cheez ko ignore kiya, kisiko iske bare mein kuch nahi bataya….Fir dheere dheere problem badhti gayi, bleeding badhti gayi….Mom Dad ko mere shorts ya jeans ke peeche khoon ka nishaan roz dikhne laga…Tab unhone mujhe poocha ki mujhe kya ho raha hai,mujhe koi problem toh nahi hai? Aur mujhe toh pehle se hi iss problem ke baare mein pata nahi tha ,main kya bolta….

Agle din mom dad mujhe check up karvane Lok Hospital leke gaye,tab vahan jaakar pata chala ki jisse main problem samajh raha tha voh ek bimaari thi. Dr.Steven naam ke doctor ne diagnosis se yeh bataya ki mujhe Pilonidle Sinus hai jisse aam bhasha mein Piles kehte hai.Jiss hospital mein mujhe diagnose kiya tha vahan mujhe immediately operation karne ka suggestion mila….Par doctor ka kehna tha ki uss operation se piles vapas  hone ke chances  kam nahi hai aur agar mujhe operation karvana hai toh mujhe hospital mein 1 din ke liye admit hona padega…

Humein koi safe option chaiye tha isiliye humne kisi aur doctor ko consult karne ka socha. Dad ke friend ne ek doctor ka suggestion diya jo Piles ke field mein sab ka baap tha….Kahan kahan se log uske paas aakar apna operation karvake jaate the…Toh humne bhi try kiya. Yahan Panchpakhadi mein Dr.Lolge naam ke doctor ka clinic tha.Vahan mujhe lekar gaye,Checkup hua aur mujhe pata chala ki ab mere pass operation karvane ke alava aur koi option nahi bacha tha….Jaise Cancer mein 3 stages rehte hai, vaise hi Piles mein bhi the…

1st aur 2nd stages par dawai se Yeh thik ho jaata hai…Par jab 3rd stage par Piles ki bimari pohochti hai toh operation kiye bina voh thik nahi hota…Piles mere liye cancer se ladne jaisa tha.

Doctors toh humein dilasa dene ke liye kehte hai ki kuch dard nahi hoga,5 minute ka operation hai….Par jab operation theatre mein mujhe le jaya gaya toh main bhi stress free tha ki Dr ne bola kuch nahi hoga toh haa baba kuch nahi hoga

Trust me guys….Dard kya hota hai ye mujhe  uss din OT(Operation Theatre)mein Pata chala…..Doctor ne jo bhi kaha tha uska sab oolta hua…..Dard hua ,bohot dard hua…..Pata nahi uss doctor ne kahan kahan injections ghussaye the….kam se kam 6-7 baar toh injections maare hi honge….Aur 5 minute nahi,poore aadhe ghante tak operation kar raha tha voh doctor mera.

Mujhe pehle hi bola gaya tha ki operation ke baad patient ko chakkar aate hai,aur usse operation ke baad 15-20 minute sona padta hai…Aur operation ke baad ke 5 din mujhe clinic mein checkup ke liye jaana hai…

Aaj 6 saal ho chuke hai…aaj pehle se thik lagta  hai mujhe par fir bhi darr lagta hai ….ek khauf sa baith gaya hai dil mein….Aaj bhi jab mai kabhi checkup ke liye jaata hoon tab jo log vahan operation karvane aaye hote hai unko dekhkar apna dard yaad aata hai…OT mein jab voh injection maarte waqt patients ka dard se chillana yaad aata hai…. A very painful story this time.... Its true story..... It's my story 😔

Àbhî

Happyfriendshipday❤️

read more
Umar Badh Rahi hai
Dosto se Dosti Ghat Rahi hai...
Sab jeene ka salika dhund 
Rahe hain.....
or 
Dooriyan Badhti ja rahi hai....
or 
dooriyan badhti jaa rahi hai .. #Happyfriendshipday❤️

Nainika Jagat

#OpenPoetry Hamara pyaara parivaar

read more
#OpenPoetry Aao , aapko sunaayen ek baat,  raaz ki
Nahin koi fikr karta,  bina baat ke aap ki
Is sansaar mein kitne hain sagar apaar
Lekin koi nahin hai aisa , jaise hota hai ek parivaar 

Jahan mamta ki chaav deti maa hai
Thodi si fatkaar,  lekin dher saara pyaar dete pita hain 
Ameer ho ya gareeb, Ameer ho ya gareeb 
Sabse kimati hai parivaar,  jo hai kareeb 

Bhaayion ke saath khela hai jis aangan mein 
Milti nahin aisi khushi kisi kaanan mein 
Sahara lekar badhti hai,  jaise koi naar
Sahara lekar badhti hai jaise koi naar 
Waise hi takat deta hai,  hame hamara parivaar 

Jab bhi ho koi chinta ki baat 
Tab thaam le jo hamara haath 
Seh le jo ham par kiye gaye har vaar
Sabse pyaara , sabse nyaara, hai hamara parivaar . #OpenPoetry Hamara pyaara parivaar
loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile