Nojoto: Largest Storytelling Platform

Best CHAAHE Shayari, Status, Quotes, Stories

Find the Best CHAAHE Shayari, Status, Quotes from top creators only on Nojoto App. Also find trending photos & videos aboutnames start with cha in telugu, cha words in hindi, cha love you, kantala alay life cha, cha love,

  • 21 Followers
  • 56 Stories

Innocent Queen 👑👑

Tu chaahe ya na chaahe 
ye dil to sirf tujhe chaahta h
Tu maane yaa na maane
Ye dil to har dua me tujhe hi maangta h
Ye baat alag h ki tu mera ho nahi sakta
Magar MOHABBAT ki nagri me meri 
Ek tu hi BAADSHAH hai

Uzma #Shayrilove #onesidedshayri
#emotions #waytoexpress #truelove
#hearttouching

Sonuswrites

#dilsejudakaisekarde darddedil shayari

read more
ham chaahe bhi to khud ko akela kaise kar de
ham chaahe bhi to khud ko akela kaise kar de
dil to hamara dusro ne toda tha 
khud ko is dil se juda kaise kar de #dilsejudakaisekarde darddedil shayari

shankar kumat yadav

hindi shayri

read more
हिंदी शायरी अपनी भावनाओं एवं अनुभूतियों को व्यक्त करने का बेहद सरल और आसान माध्यम है।

अपने मन की भावनाओं को महज़ कुछ चुनिन्दा शब्दों में दुनिया या किसी ख़ास व्यक्ति के साथ सांझा करना शायरी कहलाता है।

इस संसार में सैंकड़ों मशहूर और बेनाम शायर हैं जिन्होंने अपनी-अपनी भाषाओँ में ऐसी ऐसी शायरियाँ लिखी हैं जिन्हे आज भी कोई नजरअंदाज नहीं कर सकता, चाहे वो हिंदी शायरी हो, या उर्दू के मीठे अल्फ़ाज़, आज भी इन शायरियों का कोई मुकाबला नहीं है।

वफ़ा के रंगों में रंगी है हर शाम आपके लिए,
हैं ये नज़र और हर सांस आपके लिए,
महकते रहो आप सदा फूलों की तरह,
है इस ज़िन्दगी की हर सुबह और हर शाम आपके लिए।

Wafaa ke rango mein rangi hai har shaam aapke liye, Hain ye nazar aur har saans aapke liye,
Mehkate raho aap sada phoolon ki tarah, Hai is zindagi ki har subah aur har shaam aapke liye.



हमें तुमसे मोहब्बत है यह हम इकरार करते हैं,
जिसे हम पहले बयां ना कर सके आज वो इज़हार करते हैं

Humein tumse mohabbat hai, yeh hum ikraat karte hain,
Jise hum pehle byaan naa kar sake aaj wo izhaar karte hain…



हर सुबह याद आते हो हर शाम याद आते हो, जहाँ भी हम देखते हैं बस तुम ही नज़र आते हो।

Har subah yaad aate ho, har shaam yaad aate ho, Jahan bhi hum dekhte hain bus tum hi nazar aate ho…



तुम मुस्कुरा दो तो दिन निकल जाए, ख़ामोश रहो तो रात होती है,
कौन सा ग़म कैसा ग़म, ये सब बेकार की बातें होती हैं।

Tum muskura do to din nikal jaaye, Khaamosh raho to raat hoti hai,
Kaun sa gum kaisa gum, Ye sab bekaar ki baate hoti hain

बड़ा उदास है ये दिल तुम्हारे बिना, कुछ नहीं है मेरे पास तुम्हारे बिना,
चाहे दिन हो या हो रात, सुकून नहीं आता इस दिल को मेरे तुम्हारे बिना

Bada udaas hai ye dil tumhaare bin, Kuchh nahi hai mere paas tumhaare bin,
Chaahe din ho yaa ho raat, Sukoon nahi aata dil ko mere tumhaare bin…

“इश्क़ का बादल हो जाता तो अच्छा होता, तुम्हारी आँखों का काजल हो जाता तो अच्छा होता,
तुझसे दूर रहने की अब मेरी हिम्मत नहीं होती, इसके बदले मैं पागल हो जाता तो अच्छा होता।”

Ishq ka baadal ho jaata to achchha hota, Tumhaari aankhon ka kaajal ho jaata to achchha hota,
Tujhse door rehne ki ab meri himmat nahi hoti, Iske badle main paagal ho jaata to achchha hota…

“ज़िन्दगी की उलजनों में हम परेशान बहुत हैं, ऐसे न तड़पाओ दिल को ये नादान बहुत है, नज़रों के सामने आकर अनदेखा करते हुए गुजर जाना, वादा करके उससे मुकर जाना आसान बहुत है ”

Zindagi ki uljhanon mein hum pareshaan bahut hain, Aise naa tadpaao dil ko ye naadan bahut hain, nazron ke saamne aakar andekha karte huye gujar jaana, vaada karke usse mukar jaana aasan bahut hai…



किसी राह में तुम्हारा दीदार हो गया, ख़ुदा कसम हमें तुमसे प्यार हो गया,
एक ही नज़र में ये दिल बेकरार हो गया, कि अब यह दिल तुम्हारा तलबग़ार हो गया।

Kisi raah mein tumhaara deedar ho gaya, Khuda kasam humein tumse pyaar ho gaya,
Ek hi nazar mein ye dil bekraar ho gaya, Ab yeh dil tumhaara talabgaar ho gaya..

Lovely Hindi Shayari

Below are given the beautifully written shayari in Hindi. We have tried our best to get you latest bunch of such collection so that whenever you come to this website, you find something new.

AsliShayari.com mein aapka swaagat hai. AsliShayari ek aisa platform hai jispar aap regularly shayarion ka behatreen collection paa sakte hain. Hamari website din pratidin famous hone ke saath saath nayi shayari ko bhi prakashit karti rehti hai.

Apne mann ki bhaavnaao ko mehaj kuchh chuninda shabdon mein duniya ya kisi khaas vyakti ke saath saanjha karna shayari kehlaata hai.

Is sansaar mein saainkdo mashahoor aur benaam shayar hain jinhone apni-apni bhashaon mein aisi-aisi shayariyan likhi hain jinhe aaj bhi koi najarandaaj nahi kar sakta, chaahe wo hindi shayari ho ya urdu ke meethe alfaaj, aaj bhi in shayarion ka koi muqaabla nahi hai.

तुम्हारे हुस्न को निखारती कोई शक्ति जरूर है,
हर अदा तुम्हारी इश्क़ से भरपूर है,
है खुदा ने बख़्शा गज़ब का तुम्हे नूर है,
तुम्हारे दीदार-ए-हुस्न से हमें होता नशा भरपूर है।

Tumhaare husn ko nikaarti koi shakti jaroor hai
Har adaa tumhaari ishq se bharpoor hai,
hai Khuda ne baksha mukhde par tumhaare noor hai,
Tumhaare deedar-e-husn se humein hota nasha bharpoor hai



तुझे देखने को ये दिल तरसता है,
एक तेरे इंतज़ार में ही ये तड़पता है,
कैसे समझाऊँ मैं इस नादान दिल को अपने,
जो मेरा होकर भी बस तेरे लिए धड़कता है।

Tujhe dekhne ko ye dil tarasta hai,
Ek tere intezaar mein hi ye tadapata hai,
Kaise samjhaau main is naadan dil ko apne,
Jo mera hokar bhi bus tere liye dhadakta hai.

Check out beautiful love shayari



“हिचकियाँ कहती हैं कि आप
याद तो बहुत करते हो हमें,
पर लबों से बयाँ नहीं करोगे
तो एहसास कैसे करेंगे हम..”

Hichkiyan kehti hain ki aap,
Yaad to bahut karte ho humein,
Par labon se bayaan nahi karoge,
To ehsaas kaise karenge hum…

“ज़रा सी गलती पर ना छोड़ देना तुम अपनों का साथ, ज़िन्दगी गुज़र जाती है किसी को अपना बनाने में”
Zara si galti par naa chhod dena tum apno ka saath, Zindagi gujar jaati hai kisi ko apna banaane mein…



बेहद ख़ूबसूरत इस जग के
सारे नज़ारे हो गए,
जिस पल से सनम
हम तुम्हारे हो गए।

Behad khoobsurat is jag ke,
Saare najaare ho gaye,
Jis pal se sanam,
Hum tumhaare ho gaye…

“मैंने दिल से कहा ज़रा कम याद किया करो उन्हें, दिल ने जवाब दिया कि वो धड़कन है तुम्हारी, तुम जीना छोड़ दो मैं याद करना छोड़ दूंगा।”

Maine dil se kaha jaraa kam yaad kiya karo unhe, Dil ne jawaab diya ki wo dhadkan hai tumhaari, Tum jeena chhod do main yaad karna chhod doonga…

True Hindi shayri for sharing

इस पेज पर हम आपके लिए लेकर आये हैं ऐसी ही कुछ चुनिंदा और ख़ास हिंदी शायरी का संग्रह जिन्हें देखकर आपको किसी और शायरियों की दूकान को खोजने की जरूरत नहीं होगी।

Is page par hum aapke liye lekar aaye hain aisi hi kuchh chuninda aur khaas hindi shayari ka sangrah jinhe dekhkar aapko kisi aur shayarion ki dukaan ko khojne ki jaroorat nahi hogi.

Hindi shayari is an easiest way to express your emotions and feelings with world.

Expressing our feelings or emotions with someone special or with world in a few poetic lines is referred as “Shayari”. There are many renowned shayars who wrote shayaris in their own language, be it Urdu, Hindi or any other, every single piece of their contribution is used by many of us.

Here on this page, you can find hundreds of Hindi shayari collection sourced from various places to help you not to struggle finding them anywhere else. Please do let us know your valuable feedback if we have helped you anyway.



हैं क़ुबूल शिकायतें हमें आपकी सारी,
लेकिन कहना तो थोड़ा मुस्कुरा कर कहना।

Hain qubool shikaayatein humein aapki saari,
Lekin kehna to thoda muskuraa kar kehna

हँसते रहो सदा हँसने में क्या ग़म है,
दुनिया में परेशानी किसको कम है,
ख़ुशी-ख़ुशी बिताओं यह ज़िन्दगी अपनी,
क्योंकि इसी का नाम तो कभी ख़ुशी कभी ग़म है।

Haste raho sada hasne mein kya gum hai,
Duniya mein pareshaani kisko kam hai,
Khushi khushi bitaao yeh zindagi apni,
Kyonki isi ka naam to kabhi khushi kabhi gum hai



एक सांस भी नहीं ले पाता,
तुम्हारे ख्यालों के बिना,
और तुमने ये कैसे मान लिया,
मैं ज़िन्दगी गुजार दूंगा तुम्हारे बिना…

Ek saans bhi nahi le paata,
Tumhaare khayaalon ke bina,
Aur tumne ye kaise maan liya,
Main zindagi gujaar doonga tumhaare bina…

इस गांव के बादल तुम्हारी जुल्फों की तरह हैं,
ये आग लगाना जानते हैं, बुझाना नहीं।

Is gaaon ke baadam tumhaari julfon ki tarah hain,
Ye sirf aag lagaana jaante hain, bujhaana nahi…

वो हमें अपना रो-रोकर दर्द सुनाते रहे,
हमारी तन्हाईओं से अपनी नज़र चुराते रहे,
दे दिया हमें बेवफ़ा नाम उन्होंने,
क्योंकि हम अपना दर्द अपनी मुस्कराहट में छुपाते रहे।

Wo humein apna ro-rokar dard sunaate rahe,
Hamaari tanhaiyon se apni nazar churaate rahe,
De diya humein bewafa naam unhone,
Kyonki hum apna dard apni muskuraahat mein chhupaate rahe….

वो अक्सर मिला करते हैं कहानी बनकर,
जो दिल में बसे हैं मेरे निशानी बनकर,
जो रहते हैं हमेशा हमारी नज़रों में,
जाने क्यों निकल जाते हैं आँखों से वो पानी बनकर…

Wo aksar mila karte hain kahaan bankar,
Jo dil mein base hain mere nishaani bankar,
Ro rehte hain hamesha hamari nazron mein,
Jaane kyon nikal jaate hain aankhon se wo paani bankar…

कितना इश्क़ है तुमसे, कभी कोई सफाई नहीं दूंगा, साये की तरह दूँगा तुम्हारा साथ लेकिन दिखाई नहीं दूँगा..

Kitna ishq hai tumse, Kabhi koi safayi nahi doonga, Saaye ki tarah doonga tumhara saath lekin dikhaayi nahi doonga..

मत पूछना कभी दोबारा,
कि तुम मेरे क्या लगते हो,
जैसे दिल के लिए धड़कन जरूरी है
वैसे मेरी साँसों के लिए तुम जरूरी हो..

Mat poochhna kabhi dobara,
Ki tum mere kya lagte ho,
Jaise dil ke liye dhadkan jaroori hai,
Waise meri saanson ke liye tum jaroori hai…

काश कि तुम मेरी आँखों का आँसू बन सकते, मैं रोना छोड़ देता तुम्हे खोने के डर से…

Kaash ki tum meri aankhon ka aansoo ban sakte, Main rona chhod deta tumhe khone ke darr se…

नहीं जानता था कि प्यार क्या होता है, फिर तुम मिले और ज़िन्दगी इबादत बन गयी.

Nahi jaanta tha ki pyar kya hota hai, Fir tum mile aur zindagi ibaadat ban gayi..

उसकी तलाश में जब मैंने भटकना छोड़ दिया,
यादों में उनकी खोकर मैंने तड़पना छोड़ दिया,
वो आये तो सही लेकिन उस वक़्त,
जब इस दिल ने उनके लिए धड़कना छोड़ दिया…

Uski talaash mein jab maine bhatakna chhod diya,
Yaadon mein unki khokar maine tadapna chhod diya,
Wo aaye to sahi lekin us waqt,
Jab is din ne unke liye dhadakna chhod diya…

जाने कैसे समझाऊं तुम्हे मैं, कि तुम्हारे बिना ज़ी नहीं पाऊँगा, जो ना मिला तुम्हारा साथ मुझे, घुट-घुट कर मर जाऊंगा…

Jaine kaise samjhaau tumhe main, Ki tumhaare bina jee nahi paaunga, Jo naa mila tumhaara sath mujhe, Ghut-ghut kar mar jaaunga…

गुज़र गई वो तारों वाली सुनहरी रात, फिर याद आ गयी हमें तुम्हारी मीठी याद, है दुआ कि हर पल हो तुम्हारी खुशियों से मुलाक़ात, ख़ुदा करे हो मुस्कराहट के साथ तुम्हारे इस दिन की शुरुआत…

Gujar gai wo taaron wali sunehri raat, Fir yaad aa gayi humein tumhaari meeti yaad, Hai dua ki har pal ho tumhaari khusyion se mulakaat, Khuda kare ho muskuraahat ke saath tumhaare is din ki shuruaat…

झूठा लव और वफ़ा की कसमें,
साथ देने का वादा ,
कितना झूठ बोलती है दुनिया,
सिर्फ समय बिताने के लिए…

Jhootha love aur wafa ki kasme,
Saath dene ka waada,
Kitna jhooth bolti hai duniya,
Sirf samay bitaane ke liye…

View all sad shayari here

समय के साथ बदल जाओ,
या फिर समय बदलना सीख लो,
कभी भी किस्मत को मत कोसो,
हर हाल में संभलना सीख लो…

Samay ke saath badal jaao,
Ya fir samay badalna seekh lo,
Kabhi bhi kismat ko mat koso tum,
Har haal mein sambhalna seekh lo…

कौन कहता है कि वो ख़ुश हैं बहुत हमारे बिना,
जरा एक बार उनके सामने हमारा नाम पुकार कर तो देखिये।

Kaun kehta hai ki wo khush hain bahut hamaare bina,
Jara ek baar unke saamne hamara naam pukaar kar to dekhiye…

जिसके मुक़द्दर में ही हो दुनियावालों की ठोकरें,
उस बदनसीब से क्या नसीब की बात करें

Jiske muqaddar mein hi ho duniyawalon ki thokrein,
Us badnaseeb se kya naseeb ki baatein karein…

नसीहतें तो अच्छी देतें हैं इस दुनियाँ के लोग,
बशर्ते दर्द किसी ग़ैर का दिया हो…

Naseehatein to achchi dete hain is duniya ke log,
Bashrte dard kisi gair ka diya ho…

बिखरे हुए ख़्वाबों और रूठे हुए अपनों ने मुझे उदास कर दिया,
वर्ना दुनियावाले रोज मुझसे मेरे मुस्कुराने की वजह पूछते थे।

Bikhre huye khwaabon aur roothe huye apno ne mujhe udaas kar diya,
Warnaa duniyaawale roj mujhse mere muskuraane ki vajah poochte the…

नदी के किनारों जैसी लिख जी उस रब्ब ने किस्मत हमारी,
ना लिखा कभी एक होना और ना लिखी जुदाई हमारी

Nadi ke kinaaron jaisi likh di hai us rabb ne kismat hamaari,
Naa likha kabhi ek hona aur naa hi likhi judaayi hamaari…

इस दुनिया की भीड़ में कोई भी किसी का नहीं हो पाता है,
पैसे की क्या बात करें इंसान भी यहाँ बिक जाता है।

Is duniya ki bheed mein koi bhi kisi ka nahi ho paata hai,
Paise ki kya baat karein insaan bhi yahan bik jaata hai…

जाने क्यों मुझे रोना नहीं आता, जाने क्यों अपना दर्द-ए-दिल बताया नहीं जाता,
लोग अक्सर साथ छोड़ देते हैं मेरा बीच राह में, शायद मुझे ही रिश्ते निभाना नहीं आता।

Jaane kyon mujhe rona nahi aata, jaane kyon apna dard-e-dil bataana nahi aata,
Log aksar saath chhod dete hain mera beech raat mein, shaayad mujhe hi rishte nibhaana nahi aata..

काश कि आप यह समझ सकते कि इस कम्बखत काश से रोजाना कितना लड़ते हैं हम।

Kaash ki aap yeh samajh sakte, ki is kambakhat kaash se rojana kitna ladte hain hum…



किसी ना किसी दिन तो पा ही लेंगे ए मंज़िल तुम्हे, ठोकरें ज़हर तो नहीं जो खाकर मर जाएंगे हम

Kisi naa kisi din to paa hi lenge e manzil tumhe, thokrein zahar to nahi jo khaakar mar jaayenge hum…

मिल जाओ किसी रोज़ तो तेरी रूह में उतर जाएंगे हम,
बस जाऊँगा ऐसे आँखों में कि किसी और को नज़र ना आएंगे हम,
चाहकर भी कोई छू ना पायेगा हमें,
है बस यही गुजारिश की तेरी बाहों में बिखर जाए हम

Mil jaao kisi roj to teri rooh mein utar jaayenge hum,
Bus jaaunga aise aankhon mein ki kisi aur ko nazar naa aayenge hum,
Chaahkar bhi koi chhoo naa payega humein,
Hai bus yahi gujaarish ki teri baahon mein bikhar jaaye hum..

शायरी

शायरी भावनाओं के धागे में पिरोई हुई कुछ अल्फ़ाज़ों का संगम होती है। इसके जरिये एक इंसान दुसरे इंसान तक अपने भावों को बेहद ख़ूबसूरत तरीके से आसानी से पंहुचा सकता है।

देखने में तो यह महज़ कुछ शब्दों की 2-4 लाइन्स होती हैं लेकिन अगर इन्हे समझा जाए तो इनके मतलब बहुत ही गहरे होते हैं।

Shayari bhaavnaao ke dhaage mein piroyi huyi kuchh alfaajo ka sangam hoti hai. Iske jariye ek insaan doosre insaan tak apne bhaavon ko behad khubsoorat tareeke aur aasani se pahucha sakt hai.

Dekhne mein to yeh mehaj kuchh shabdon ke 2-4 line hoti hain lekin agar inhe samjha jaaye to inke matlab bahut gehre hote hain.

Copyright © 2019 · News Pro Theme On Genesis Framework · WordPress · Log in

1 hindi shayri

mansuri azim

#Achhi zindagi mon2 raj onstage_shayeriii Aaisha rana farheen ՏʅԺԺнΛʀтн

read more
hm marte nahi kisi pe naahi marna chaahe
chhoti si zindagi he bus achchhe se jina chaahe
                                                                  azim... #achhi zindagi mon2 raj onstage_shayeriii Aaisha rana farheen ՏʅԺԺнΛʀтн

Gulshaad Khan

Gustakhiyan chahe jitni kijiyenojotoshayeripoemquotesmusic

read more
Gustaakhiyan chaahe jitni kijiye, 
daga ki gunjaish nahi, 
azmaishe chaahe jitni kijiye 
wajah ki farmaish nahi, 
Ki aetbaar hi hai wajah 
rishto me rehne ke liye, 
Ye mohobbat ka bazaar hai,
Koi IshQ ki numaish nahi,
Gustaakhiyan chaahe jitni kijiye, 
daga ki gunjaish nahi.

Gulshaad Dilse...✍️ Gustakhiyan chahe jitni kijiye#nojoto#shayeri#poem#quotes#music

Pranjali Das

#SAD #Love

read more
ha mey hu buri..
ha mey hu buri..
par tere piyar se hu mey puri...
ha mey hu buri..
dil ey meri hay tujse juri..
dil  ey meri hay tujse juri...
ha hu mey buri..
ha hu mey buri..
tere liye lakh dua ey karu..
sath kabi na tare charu..
zindegi ki safar mey chaahe rahu mey  buri..
chaahe rahu mey buri...
ha mey hu buri...
par tere piyar se hu mey puri..
ha mey hu buri.. #sad #love

reality_in_polaroids ♥️

chuu lo tujhe.!! 😍😍 lovefeelingsemotionspoetpoetrynojotorelationshiptrustbondshayarshayarireality_in_polaroids

read more
Chhu loon tujhe jaise koi
Chand ko chhuna chaahe
Chaahun tujhe jaise koi
Baccha khilona chaahe chuu lo tujhe.!! 😍😍
#love#feelings#emotions#poet#poetry#nojoto#relationship#trust#bond#shayar#shayari#reality_in_polaroids

Ankit Ghosh

#Chand

read more
Heart ❤️❤️❤️
Chuuh lun tujhe jaise koi chand ko chuna chaahe..
chaahu tujhe jaise koi bachha khilona chaahe.. #chand

vinit shukla

lines of my first poem Mera khayal kar liya kar #poem #onesidedlove

read more
Har wakt tera khyaal rehta hai dimaag me,
Tu kaisi hogi , kaha hogi sawaal rehta hai dimag me,
Tu bhi kabhi fursat ke do pal mere naam kar diya kar, 
Mai tujhe yaad krke khush hu , par phir bhi mera khyaal kar liya kar....

Honge tujhpe jaan dene wale kai , 
Par hum un ashiko me se bilkul nahi , 
Jo tujhe chaahe tu usse has ke baat kar liya kar,
Par tu mere dil me hai , bas itna jaanke mera khyal kar liya kar...

Maana tune apna dil kahi aur haara hai,
Maana gum-e-judaai ke dard se tera dil bhi maraa hai , 
Mai banna chahu tere har dard ki dawa,
To apna dard mujhse bayaan kar liya kar,
Koi hai jo tere dil ko araam dena chahta hai , bas itna maan ke mera khyaal kar liya kar

Karta hu dua tu jise chaahe wo saat janmo tak tera ho ,
Aur har janam ke har daur me tu mera ishk banke hi paida ho,
Tere hisse har khushi ki dua karta hu , 
Par Mai teri hansi dekh saku bas itni duaa kar liya kar,
Tere muskaan mai jeeta hun , ye jaan ke hi mera khyaal kar liya kar... lines of my first poem Mera khayal kar liya kar 
#poem #onesidedlove

Akshit Jain

#Love Chhu loon tujhe jaise koi Chand ko chhuna chaahe Chaahun tujhe jaise koi Baccha khilona chaahe

read more
 #love 
Chhu loon tujhe jaise koi
Chand ko chhuna chaahe

Chaahun tujhe jaise koi
Baccha khilona chaahe
loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile