Find the Best auliya_allah Shayari, Status, Quotes from top creators only on Nojoto App. Also find trending photos & videos abouthazrat nizamuddin auliya story in hindi 320, auliya allah shayari, nizamuddin auliya shayari, auliya allah quotes, nizamuddin auliya quotes,
Feroz Urf Aatif Paturi
Imaam Abu Hanifa (Rehmatullahi Alaihi) Farmate Hai, Mere Nazdeek Kisi Bakheel(Kanjus) Ko Adal Qarar Dena Durust Nahi. Kyu Ke Iss Se Lalach Ubharta Hai Nateejah Woh Nuqsaan Ke Khauf Se Apne Haq Se Ziyada Le Leta Hai, Lehaza Jis Shakhs Me Bukhul(Kanjusi) Ki Sifat Paai Jati Hai Uss Ke Paas Amanat Mehfooz Nahi Ho Sakhti. – (Ahya Uloom, Kitab Zam Hubul Maal, Biyan Zam Bukhl, Vol.3, Page:342) ©Feroz Urf Aatif #auliya_allah #allah
Feroz Urf Aatif Paturi
Apne Momin Bhaiyon Ke Liye Unki Gair Mojudgi Me Bhi Dua Kiya Karo, Iski Barkat Se Tumhare Rizq Me Izaafa Hoga. - Hazrat Imam Baqar RadiAllahu Anhu ©Feroz Urf Aatif #auliya_allah #allahwale
Feroz Urf Aatif Paturi
Jannat Me Na Koi Bakhil (Kanjus) Dakhil Hoga Na DhokeBaaz Na Koi Khayanati Na Gulamo (Nokaro) K Sath Bura Suluk Karne Wala. - Hazrat Abu bakr Siddiq Radiallahu Anhu ©Feroz Urf Aatif #auliya_allah
Feroz Urf Aatif Paturi
Hazrat Zun-noon Misri Rehamtullahi alaihi Farmate Hain, Aankh Ki Tauba Haram Chizeñ Na Dekhne Me Hai. [Aqwal E Auliya📚] ©Feroz Urf Aatif #auliya_allah
Feroz Urf Aatif Paturi
Jo Shaksh Apne Nafs Ka Mu'allim (Ustaad)Nahi Ho Sakta Doosre Ka Kis Tarah Hoga - Hazrat Sayyiduna Shaykh Sayyed Muhi'uddin Abdul Qadir Al-Jilani رَضِيَ ٱللہُ تَعَالیٰ عَنْهُ ©Feroz Urf Aatif #auliya_allah
Feroz Urf Aatif Paturi
Hazrat Abul Hasanaat Maulana Sayyed Abdullāh Shaah Naqshbandi Qaadri rahmatullāhi alaihi : Aqwaal : ‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾ Aap irshaad farmaate hain : (1) Log khwaab me Huzoore akram sallallāhu alaihi wa sallam deedaar karne ke mushtaaq rehte hain jab ke Huzoore akram sallallāhu alaihi wa sallam ki mukammal ita’at [farmaan bardaari] wa itteba [pairwi] karna yeh bhi jaagte me Huzoore akram sallallāhu alaihi wa sallam se mulaaqaat ke barabar hai. (2) Murshid baatini uloom ka darwaaza hai aur Peer se Bai'at karna yeh asl me ALLĀH ta’ala ki ita’at aur taabedaari hai. (3) Sab se aham ibaadat Tauba karna hai. Us ke baghair aamaal me chamak nahi aati. Tauba wa astaghfaar saabun ki tarah hai aur deegar ibaadaat aur awraad o wazaaif itr ki tarah hai. Koi shakhs saabun se nahaaye nahi aur sirf itr laga le to bekaar hai. (4) Halaal tareeqe se kamaaya hua ek daana haraam tareeqe se haasil kiya hue bahot saare maal se behtar hai. Saalik ko mashkook cheezo se bhi bachna chaahiye. (5) Koi shakhs apne pariwaar ka khayaal rakhta hai, unke liye rizq ka intazaam karta hai aur unki achhi ta’aleem wa tarbiyat karta hai to Jihaad me jaane se behtar hai. ©Feroz Urf Aatif #auliya_allah
Feroz Urf Aatif Paturi
Tasawwuf Kiya Hai? Huzoor Taajushshariah Farmate Hain, Tasawwuf Itteba E Shariat Ka Naam Hai, Yani Huzoor ﷺ Ki Shariāt, Faraiz, Wajibat, Sunan O Mustahbat Un Sab Par Amal Karne Ka Naam Tasawwuf Hai Aur Us Mein Sab Se Badi Chiz Tazkiya E Nafs Hai, Aadmi Apne Nafs Ko Gande Khayalat Se, Gande Aqaaid Se Aur Gande Afkaar Se Paak O Saaf Rakhe. ▪️(Tajushshariah Ki Ilmi Majalis, Page: 119) ©Feroz Urf Aatif #auliya_allah
Feroz Urf Aatif Paturi
Farmaan e Hazrat Sayyiduna Maula Ali کَرَّمَ اللہُ وَجْہَہُ الْکَرِیْم Jo Bagair Ilm Ke Logo Ko Fatawa De To Aasman Aur Zameen Ke Farishte Ispar Laa'nat Karte Hai. (Al-Mustadrak📚) ©Feroz Urf Aatif #justice #auliya_allah
Feroz Urf Aatif Paturi
Sayyiduna Zain ul Abideen (Radiallahu Anhu) ne farmaya : Ahle Sunnat ki Nishaniyo mai se Ek RasulAllahﷺ par kasrat se durood Parhna Hai. -Ref: Ismail Isbahani - At'Targhib Wat'Tarhib 2/333📚 ©Feroz Urf Aatif #auliya_allah
Feroz Urf Aatif Paturi
Hazrate Ali Khawwas Rehamtullahi alaihi farmate hai:- Bahut Qaleel Auliya -e- Kiraam Apni Biwiyo Ki Zubaan Daraazi Se Bache Hain (Yaa'ni Aksar Auliya -e- Kiraam Ko Biwiyo Ne Tang Kiya Hai.) ©Feroz Urf Aatif #auliya_allah