Kuch toh aisa adhurapann hai jo aaj bhi pura kar na sake
Kuch aisa bhi khalipan hai jisse aaj tak bhar na sake
Kuch pukar thi under se jisse aksar hi ansunaa Kia
Kuch armaan tha iss dil ka jisse aksar hi nazarandaz Kia
Kuch aise bhi jazbaat the jo bahar aa na sake
Kuch aise bhi irade the zo farmaan chadha na sake
Kuch aise ehsas the Mann me jo kise bata na sake
Kuch aise bhi alfaj the jo jabba pe kabhi aa na sake #nojotophoto
poet pandey
Deer sahi per jaroor ata hun
Mai hi ishwar hun Mai hi vidhata hun
Mai apne her bache ko ek saman chahta hun
Koi mujhe mane yaa na mane Mai toh sabko apnata hun
Koi laala koi bappa toh koi bhai k roop me mujhe chahe
Mai woh hun jo her roop me ata hun
Pathar me tarash kar koi mujhe mandir me rakhata hai
Ya koi her jeev jantu me sirf mujhe hi dekhata hai #nojotophoto
Kuch humari hi galtiya hogi ki apne ehsas ko tumhe ehsaas Kara na sake
Humare dil aur dimaag me sirf tum hi tum ho yeh tumhe dikha na sake
Teri chaht me kis kadar hum ghir chuke hai yeh tujhe bata na sake
Shayad kuch humari hi galtiya hogi
Jo tujhe kabhi hum daant diya karte
Tujhe kahin pareshani ka samna na karna pade isliye pahle hi agah kar diya karte
Manane nahi ata humme yeh toh tum bhi janti ho
Fir bhi kitna manaya tumhe fir bhi nahi tum Mannti ho
poet pandey
Dil de k bhi kuch na kaho
Mushkil hoti hai
Ek tarfa pyaar me mushkil hoti hai
Mai sirf tujhe apna mano
Aur tu mujhe pahchane bhi na
Toh mushkil hoti hai
Her sabere teri ek jhalak k lie mai bekarar hokar intejaar karu aur kisi sabere tu na dikhe toh...
Tere her post ko sabse pahle mai like karu