Nojoto: Largest Storytelling Platform
akshitatyagi7377
  • 29Stories
  • 34Followers
  • 275Love
    0Views

Akshita Tyagi

writing is my passion and to become a well known writer is my dream.

  • Popular
  • Latest
  • Video
a12759240f7c490074826264da47bd84

Akshita Tyagi

nischya dradh ho to
aasma bhi sar jhukata he
hamara maanna he ki agar
koi agar aapko sachhe dil se chahe to vo
aapke liye dusri duniya ke bandhan bhi todkar aata he #dradhnischya
a12759240f7c490074826264da47bd84

Akshita Tyagi

kehte he sab sajha karne se
gam kam hota he
humne kaha
apni pareshaani kisi se sajha ki
aaj isi baat ka to gam hota he

a12759240f7c490074826264da47bd84

Akshita Tyagi

jutha dilaasa sabka 
ab naa mere kisi kaam ka he
kuch samay ke liye or jeena
ab mera bas naam ka he #naamkajeena
a12759240f7c490074826264da47bd84

Akshita Tyagi

aas chod rahi hu me
apni saanso ki
shikayate itni he
ki neend ud chuki he
meri raato ki #shikayate
a12759240f7c490074826264da47bd84

Akshita Tyagi

life without colours hazaro rango se bhari ye zindagi
aaj berang ho gayi
itna sambhal kar rakha tha ise
phir kyu ye bedhang ho gayi #berangzindagi
a12759240f7c490074826264da47bd84

Akshita Tyagi

nafrat karne waalo ke saath 
chaahne walo ki bhi kami nahi he
kuch palo ke liye hi sahi par unki vajah se
aaj in aankho me nami nahi he #chahnewale
a12759240f7c490074826264da47bd84

Akshita Tyagi

daastane ishq

ishq karna to hamesha se
duniya ke dastur ke khilaaf raha he,
par sacchi mohabbat karne walo ka
kisi na kisi rup me har janam me saath raha he,
kabhi heer-ranjha to kabhi radha-krishna
har rup me pyaar ka imtehaan hua he,
sari parikshaye paar karke phir bhi
har janam me pyaar ka naam hua he,
ye sab shaayad daastan hi ho par
sachi mohabbat ka hame bhi aaj ehsaas hua he,
jo dur hokar bhi
hamari ruh ke boht kareeb he,
jinki pyaar ki daulat se
ham duniya me sabse ameer he,
unko ye hamara pegaam mile
ki juda hona hi pyaar karne valo ka naseeb he. #daastaneishq
a12759240f7c490074826264da47bd84

Akshita Tyagi

World Poetry Day 21 March mera man 

ye man he ki maanta nahi 
apno ko bhi pehchanta nahi,
bojh chahe is par laakh ho
par ziddi sa! haar kabhi manta nahi,
hazaro raaz apne andar samaye
dusro ki salah bhi maanta nahi,
dorahe par khada ho jab bhi
sahi ya galat ka parinaam ye jaanta nahi,
uljhane suljhaane me lag jaye jab ye
khud bhi usme ulajhna ye chahta nahi,
naam koi jab isme bas jaye
yaade uski ye bhula pata nahi,
kareeb ho jo iske boht
dur ye unse jata nahi,
bhaavnae isme hazaar ghar kare he
par sabko sajha kana bhi ise aata nahi,
kya me karu iska 
ye man he ki maanta nahi. #ziddiman
a12759240f7c490074826264da47bd84

Akshita Tyagi

zara thehro

zara thehro or dekho
kahi koi aas paas he to nahi,
zara thehro or suno
koi man ki aawaz se tumhe bula to raha nahi,
zara thehro or mehsus karo
koi tumhe chahne wala dard me to nahi,
zara thehro or dhyaan do
kahi tum apno se dur to nahi,
zara thehro or samay do
jinhe aaj tak tumne samay diya nahi,
zara thehro or pucho
ki kisi ke liye tum zaruri to nahi,
zara thehro or pehchano
ki laakho me koi ek tumhari aas me to nahi,
zara thehro or socho
ki kahi tum kisi ke saath galat kar rahe to nahi,
zara thehro or dekho
kahi aas paas koi he to nahi #zarathehro
a12759240f7c490074826264da47bd84

Akshita Tyagi

kuch nahi milega in aankho me 
aansuo or dard ke alaawa ab
itni dariyadili dikhake mujhpe
kya milega tujhe e rab #dariyadili
loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile