Nojoto: Largest Storytelling Platform
syedsohailahmedh5712
  • 58Stories
  • 136Followers
  • 231Love
    0Views

syed sohail ahmed hashmi

loves writing poetry

  • Popular
  • Latest
  • Video
8899f558d545f5827da24add8336b9f8

syed sohail ahmed hashmi

Ham hi kab talak intezar me rahein
Kabhi wo bhi hame Milne aye beqarar aye
Hamne Kabhi shak nahi Kiya unki pardarari par
unhe bhi Kabhi hamari nigahou pe aitebaar aye
Hamne unki muskurahat ,lehja,zulfein sawarna,har adaou se pyaar kiya
Kabhi aisa ho unhe bhi hamare iss pyaar pe pyaar aye
Suna hai wo jaha Jaye roushni si chah jati hai
Andhera sa hai Kabhi fursat mile unko to wo hamare bhi Ghar aye

8899f558d545f5827da24add8336b9f8

syed sohail ahmed hashmi

Use bhi Meri qabr nahi mujhe bhi uska pata nahi
Ek duje pe mar rahe hai ek duje ko pata nahi
Uske Dil me jawab hai mere Dil ke sawalou ke
Maine bhi Jo puche nahi usne bhi Jo kaha nahi
hamko usko aisa jaan rahe hai Haal e dil pehchan rahe hai
Wo Jisse ham Tanha mile nahi Jo hamse tanha Mila nahi
Usne samjha Dil me mere kuch nahi hamne souncha Dil me uske kuch nahi
Asl mein to ye hua usne mujhe samjha nahi Maine use jaana nahi
Dono ke Dil me pyaar tha
dono ne pehchana nahi
Ham bhi khamoosh se hai usne bhi kuch kaha nahi
Jabke Mai bhi usse khafa nahi wo bhi Mujh se khafa nahi
Mere kamre ki deewarou se puch sako to puch ke dekho
Maine ek uske siwa yaad kisi ko Kiya nahi
Mai Dil ke apne saare raaz batadu 
uski mere zahen me goonj rahi Jo uski use wo awaaz suna du
Ham to raazi hogaye the usko Dil ki baat batane
Par usne ek ishara Kiya nahi phir hamne bhi zor Diya nahi
Alam e ishq phir chayega wo jalwa e kun dikhaye ga
Bhale hi koi Surat na ho Milne ki 
wo phir bhi hame milayega

8899f558d545f5827da24add8336b9f8

syed sohail ahmed hashmi

 Mohammad Kamaluddin Shailesh Kumar Angira Farooque Ansari Ritu

Mohammad Kamaluddin Shailesh Kumar Angira Farooque Ansari Ritu #nojotophoto

8899f558d545f5827da24add8336b9f8

syed sohail ahmed hashmi

 #bas_tum_chahiye
8899f558d545f5827da24add8336b9f8

syed sohail ahmed hashmi

Zindagi kisi adalat si chal rahi hai
Gunah bhi chal rahe hai ibadat bhi chal rahi hai

8899f558d545f5827da24add8336b9f8

syed sohail ahmed hashmi

yun jo dhere dhere mita rahe ho
yun jo khud muskurake hame rula rahe ho
dekhna ek din chale jaeynge hum
tum awaaz doge phir bhi na ayenge ham

8899f558d545f5827da24add8336b9f8

syed sohail ahmed hashmi

Ye barish ki boondein dekhu tu Teri haseen ankhou ki yaad ati hai,
Ye Suraj ki kirnou me Teri zulfou ki chamak satati hai,
Jaise dubte musafir ko kashti ki yaad ati hai,
Mujhe kuch bhi yaad nahi ata bas tu yaad ati hai, #bas_tu_yaad_ati_hai
#no_fullstop_after_hai_i_will_write_more.
8899f558d545f5827da24add8336b9f8

syed sohail ahmed hashmi

mujhse  kya ye aaj ay mere khuda ho gaya,
mai maa se baat kar raha tha aur mera lehja bura hogaya.

8899f558d545f5827da24add8336b9f8

syed sohail ahmed hashmi

Itna bhi na kisi ko majboor na karna tum,
Yun apna bana ke na door karna  tum,
Ha thi galti to maaf Kardo,
Jaha se hara hu ab housla dena tum.

8899f558d545f5827da24add8336b9f8

syed sohail ahmed hashmi

wo chand bhi phika hai tere chehre ke samne,
sharab ka nasha bhi kuch nahi teri ankhou ke samne. #tum_ho_hi_itni_haseen
loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile