Nojoto: Largest Storytelling Platform
tarungupta0549
  • 91Stories
  • 4.9KFollowers
  • 759Love
    0Views

Tarun safar

writer

  • Popular
  • Latest
  • Video
26e52cec88dec9217d42b58d50a75cd9

Tarun safar

mere baad wo jiske bhi sath rahe 
wo iss sadi ka sabse acha ladka ho

©Tarun safar #Luminance
26e52cec88dec9217d42b58d50a75cd9

Tarun safar

#5LinePoetry aap jab achee se baatey karte the 
hum phone ko chum liya karte the

aapse bichde to dard mehsoos kiya
warna hum ghar ke iklote bete the

aap kab yaha rukna chahate the 
wo to hum gift hi itne bhejte the 

aapko neend aa rahi hai acha hai 
hum bhi pehle 7 ghante sote the

aap humse mohabbat karte the 
aur hum apko dhoke me rakhte the

©Tarun safar #5LinePoetry
26e52cec88dec9217d42b58d50a75cd9

Tarun safar

ishq bhi karna tha aur kaam bhi
so haftey me ek din sota tha me

itni gadiya khadi thi parking me 
bas ek gadi ko dhundhta tha me

usko fulon se mohabbat thi dost 
kabhi kabhi ful bechta tha me 

kahi uski kasam na bigad jaye 
roj ek pal ke liye marta tha me

mujhe pahle achi lagti thi wo 
usko pahle acha lagta tha me

©Tarun safar #moonlight
26e52cec88dec9217d42b58d50a75cd9

Tarun safar

fir kya karna kidhar gaye ho 
mere jahan se utar gaye ho

itni baatein aur fir itna gussa
yaar sar par chad gaye ho

un jaisa mujhme kuch bhi nahi 
mat kaho baap par gaye ho

dil se khayal jata hi nahi kabhi 
tum dil me ghar kar gaye ho

©Tarun safar #EveningBlush
26e52cec88dec9217d42b58d50a75cd9

Tarun safar

usne bana liya hai man bagh dekhne kaa 
aapko bas ek achaa sa fool banana hai 

kitaabein nahi padhayi jaye,zindgi sikhaye
jaha, mujhko ek aisa school banana hai

dil kuch kehta hai ,dimaag kuch sochta hai 
inn dono ke beech me ek pool banana hai

wo ban gaye hai ,jo unko banna chaiye tha 
ab mujhe khudko unke anukool banana hai

sabse phle mujhe ,apne rang me lana hai 
uske baad berang sa ek mahool banana hai

©Tarun safar #LostInCrowd
26e52cec88dec9217d42b58d50a75cd9

Tarun safar

haath ke aage haare kangan 
waise the bade pyare kangan

baatein karta, jhumka uska 
aur karte, ishaare kangan 

fikey hue khud hi khud me 
usne jab ,utaare kangan 

jab hathon se lagaya usne 
lage itrane ,saare kangan

tut kar ke jab bikhar gaye 
ghanto usne nihaare kangan

©Tarun safar #Dullness
26e52cec88dec9217d42b58d50a75cd9

Tarun safar

शोर सुनु सन्नाटों का 
मसिहा में बरबादो का 

एक सफर तक रस्ते मेरे 
फिर हुआ में रस्तों का 

ज़िंदा है एक लड़की मुझमे 
ध्यान रहे ,ख़यालो का 

प्यार,मोहब्बत,हिज़्र,तन्हाई 
कोई मतलब है इन शब्दों का 

उसका खिलौना टूट गया है 
हाल देखना अब आंखों का 

सुनती हो क्या प्रियवर 
 तुम दर्द मेरी आवजों का 

जाते जाते ये भी ले जाते 
क्या करूँगा में यादों का #leftalone
26e52cec88dec9217d42b58d50a75cd9

Tarun safar

Khuda kare tujhe bhi aisa ishq ho jaye 
Halak se niwala nahi utre ,bhuk mar jaye 

Tujhe bhi log meri tarah hi pagal samjhe 
Roye to itna roye aur hanse to mar jaye 

Din me to duniya hai, tujhe bhula denge 
Saara mas'sala raat ka h raat kidhar jaye #Hope
26e52cec88dec9217d42b58d50a75cd9

Tarun safar

कोई जादूगरी नही है 
कोई हुस्नपरी नही है 

देखो तो फ़ासले मिलों के 
सोचो तो कोई दूरी नही है 

जब तक कोई मर नही जाता 
कोई कहानी पूरी नही है 

किसी को ख़ैरात में भी मिलता है
सबको मेहनत जरूरी नही है 

में सिर्फ शब्दों से मार सकता हूँ 
मेरे पास कोई चाक़ू-छुरी नही है 

ये तो आप लोग तय करते है 
किसी की भी शायरी बुरी नही है 

ये सिर्फ कहने की बातें है "तरुण "
ज़िन्दगी किसी के बिन अधूरी नही है 

अपने पर ना आये तो यही लगता है 
किसी की कोई मजबूरी नही है देखो तो फ़ासले मीलो के 
सोचो तो कोई दूरी नही है

देखो तो फ़ासले मीलो के सोचो तो कोई दूरी नही है

26e52cec88dec9217d42b58d50a75cd9

Tarun safar

mat likh usko auro se 
achaa, auro se behtar 
tune jaisa dekha hai usko 
haan bilkul "wesa" likh 

mat likh mohabbat ko 
khuli aankho se jaana 
band kar aankhe ,fir jo 
dikhta hai wo "chehra" likh


mat likh usko bewafa ,
na bura na bhala likh 
tu azaad hua, jo hua 
achaa hua ,kuch" esa" likh 

jhut bhi likhe to esa likh 
samundar se gehra dariya likh 
aadhi ghazal me duniya likh ,
aadhi me mujhko "tera" likh aadhi ghazal me duniya likh 
aadhi me mujhko tera likh

aadhi ghazal me duniya likh aadhi me mujhko tera likh

loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile