Nojoto: Largest Storytelling Platform
anmolsingh9865
  • 48Stories
  • 11Followers
  • 590Love
    5.6KViews

Anmol Singh

  • Popular
  • Latest
  • Video
0fe7ea530c960a3d9361ee14bc778493

Anmol Singh

Rishte Choot Gaye Saare,
Na Jaane kaun jeb katra, jeb kaat gaya !!

©Anmol Singh
  #WoRasta
0fe7ea530c960a3d9361ee14bc778493

Anmol Singh

Haan Nahi Aukaat Ki Khushiyan Kharid loon
Jo thode paise jode the, ussi se yeh 2 pal ki saansein khareedi hain

©Anmol Singh
0fe7ea530c960a3d9361ee14bc778493

Anmol Singh

मुझसे मिलने आए हो।
रुको ढूंढ कर लाता हूं।
एक अरसे से खुद, खुद से ना मिला हूं।
न जाने किस गली किस चौराहे पे खुद को खो आया हूं।
तुम आए हो तो एक कारण तो मिला लौटने का।
वरना कब का अलविदा कहा चला था मैं।
तो रुको ढूंढ कर लाता हूं।
आखिर मुझसे मिलने तो आया कोई।

©Anmol Singh
  Mujhse Milne Aaye Ho !!!

#UskeSaath

Mujhse Milne Aaye Ho !!! #UskeSaath

0fe7ea530c960a3d9361ee14bc778493

Anmol Singh

 Jism ke har kone mein uski bewafai basi hai
Bata-e-khuda kis kone ka hisaab pehle karega

©Anmol Singh
  #Doobey
0fe7ea530c960a3d9361ee14bc778493

Anmol Singh

ये खाली कुर्सियान नजाने किस के इंतजार में ठहरी हैं; 
यूं सोगवार सा ये लम्हा किस की मुस्कुराहट के लिए तड़पे है;  
वो तो बिना बताए, खामोश, कब के चले गए;
ना जाने फिर ये दिल में आहट किसकी है।

©Anmol Singh
  #emptiness
0fe7ea530c960a3d9361ee14bc778493

Anmol Singh

ज़िम्मेदारियों का ज़िम्मा क्या उठाया मेरे दोस्त,
पतझड़ में शजर से याबिस् पत्ते की तरह, घर से बिछड़ गया मैं

©Anmol Singh
  #Journey #zimmedari #life #responsibility
0fe7ea530c960a3d9361ee14bc778493

Anmol Singh

Sahar ki pehli roshni pe najaane kyon chahak uthti hai chidiyan,
Yahan rehne waali hujum na jaane kahan ko chal deti hai,
Mandir mein har roz kis baat ki jyot jalti hai,
Are chup ho jaao mat karo shor, 
Yahan ek bebas ab bhi neend talaash - e - baitha hai

©Anmol Singh
  #Insomnia #nosleep
0fe7ea530c960a3d9361ee14bc778493

Anmol Singh

 Kahin door kisi kohistaan mein Ghar liya hai maine
Yeh sheher tere naam kar chala hoon main

©Anmol Singh
  #Mountains
0fe7ea530c960a3d9361ee14bc778493

Anmol Singh

Shaam hote hi yaad aata hai tumhara woh kareeb aana;
Woh haath pakad kar khaamosh muskurate bas chalte jaana;
Mera woh gulaab tod kar tumhare baalon mein sajaana;
Tumhara mere gaalon pe apne hoton ki laali chhod jaana;
Ek dusre ki aankhon mein halke halke doobte jaana;
Waqt ka maano tham sa jaana;
Woh phone pe maa ki daant, aur tumhara mujhe dekh muskurana;
Woh auto mein baithte baithte tumhara achank se mere hoton pe apna pyaar chhod jaana;
Shaam hote hi yaad aata hai woh har tarana;
Phir achanka humara bichad jaana, mera dard mein tadapna, tumhe paane ke liye dua padna;
Shaam hote hi yaad aata hai woh akelapan, ghutan, woh maut ke liye bheek maangna;
Shaam hote hi sab yaad aata hai bas bhool jaata hai tumhe bhulana

©Anmol Singh
  Shaam Hote Hi


#evening #Memories #lover

Shaam Hote Hi #evening #Memories #lover

0fe7ea530c960a3d9361ee14bc778493

Anmol Singh

 In baahon ka chupa kar rakhna 
Jannat ka raasta wahin se hai

©Anmol Singh
  #Hug
loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile