Koi khud ko hindu kehta hai , To koi khud ko musalmaan kehta hai. Koi masjid me sajda karta hai, To koi hari ka gunagaan karta hai. Par na jaane is majhab ki chakki me , Kyun har roj insaan pisa karta hai. Maine dekha hai ek nanhe se bacche ko majhab ki baate karte , Na jaane unke zehen me yeh jeher ka beej kon boya karta hai.... In chand siyaasi (neta) muftkhoro ke aage , Ye insaan yun hi har roz bika karta hai.... Mera dharm na hi hindu ka hai, Aur na hi musalmaan ka hai, Mera dharm to bas insaaniyat ka hai, Kyunki insaaniyat ki koi jaat nahi hoti.... Jis bhagwan ko mai poojta hoon , Uske dar par majhab jaise koi baat nahi hoti.... #hindumuslim #insaan #insaaniyat #dharmyudh #hindustan