Jo aaj hai bada, wo kahin se to hai chala Ikchaon ko maar apni, samasiyon se na dara Lakh mushkilein jeevan ki, samjho us par us par bhaari thi Par kese na uthta wo, puri uski tayyari thi Fauladi sa irada tha, tootkar bikhar jata tha, Fir sametta tukdon ko, use or majboot banata tha Jaan liya usne yeh, na fokat me kuch milta hai kuch banne ke chah me, sona tak pigalta hai Wo girta tha, wo uthta tha Tootta tha, bikharta tha Manzil ki chah me, har roz hunar uska bikta tha Wo tapta tha, na thakta tha Mushkilon se nipatta tha Kabhi to raasta mukkamal hoga, is aas me din-raat jagta tha Tab jaakar paya hoga, khoob pasina bahaya hoga Uske man me, ek baar to rukhne ka khayal aya hoga Par na zameer mana hoga, na dil gabraya hoga Kuch pane ki chah ne, is khayal ko dur bhagaya hoga Kya usne paya hoga, kitno ne sataya hoga Par uski siddhat dekh tabhi, manzil ne sheesh jukaya hoga -AD