Main kon hu ???? Ye Sochne baithu kbhi to dil me aah si uthti hai Magar Main ladki hu janab sochne ki bhi mujhe yahan ijazat kahan.. Duniya me qadam rakhne se pehle hi maar di jaati hu Sabse mehfooz jagah h jo maa ki kokh wahan bhi sukoon se main nhi reh pati hu... Gar aa bhi jaun is duniya me to Mushkilen meri hazaar hain Kaise karun bayan is duniya me kis tarah reh pati hu... Kahin bachpan me hi di jati hu biyah Apne aapko na sambhal sakun us umar me main bna di jati hu maa... Kahin ilm ki shama se kar diya jata hai door Bol ke ye k kya hoga ladki ko bhej k school... Bachpan se hi mardon k batein bardasht krna sikhayaa jata h Chhoti chhoti baton pe bhaiyon se neecha dikhaya jaata h... Kahin pyar to bahut diya jaata h par azaadi naam ko nhi Rehti wahan bhi hu main samaj ki in bediyon me bandhi, Naam fakhr se liya jata hai gar karun main kuch bada kaam Fir bhi kara diya jata h chup gar main keh dun kuch samaj kee khilaf... Thodi badi jo ho jaun to ban jati hu maa baaap k liye bhoj K koi nhi biyahta yahan bina kisi dahej, Chahe jitna bhi le aaun main mayke se Jala diya jata h mujhe is dahej k naam pe..... (Full in caption) Main kon hu ???? Ye Sochne baithu kbhi to dil me aah si uthti hai Magar Main ladki hu janab sochne ki bhi mujhe yahan ijazat kahan.. Duniya me qadam rakhne se pehle hi maar di jaati hu Sabse mehfooz jagah h jo maa ki kokh wahan bhi sukoon se main nhi reh pati hu... Gar aa bhi jaun is duniya me to Mushkilen meri hazaar hain Kaise karun bayan is duniya me kis tarah reh pati hu... Kahin bachpan me hi di jati hu biyah