Dharam se nahi dharam k Naam par sarkar chalate hain Ye rajniti hai sahab kabhi mandir to kabhi masjid girate hain Prajatantra ko paleeta to bahut pahle lag chuka tha ye Jane kitne jhadu le poora bharat saaf kara chuke the ye saaf ho gyi Ganga itni ki shiv jatao me usey fir se sajate hain Ye rajniti hai sahab kabhi mandir to kabhi masjid girate hain Aam admi k dard se waqif itne hain ki Ro jate hain samay k paband itne ki flight me hi so jate hain Har mitti se nata hai inka yaha ki ho ya mangal grah ki Vikaas kar chuke hain itna ki ab videsho me bhi dhol bajate hain. Note bandi kar bharat ka arthik maha shakti me Naam ginate hain Ye rajniti hai sahab kabhi mandir to kabhi masjid girate hain Insaan ko Hindu Muslim me baant jag hasayi kyu karte ho Sapere to pahle hi kah chuke ab madari khel kyu karte ho Abhi to ek kanhiya jinnah bana asli jinaa ki to khali tasveer hai Har ghar se ek jinnah nikle aisi ladayi kyu karte ho Hum to aaj bhi eid diwali me ek dusre ko pyar ki sharbat pilaate hain. Ye rajniti hai sahab kabhi mandir to kabhi masjid giraate hain. Composed by-. B. S. . Rautela