Nojoto: Largest Storytelling Platform

Story : Khwab Writer: Naziya M. Story based on vi

 Story : Khwab
Writer: Naziya M.

Story based on virtual gaming Avakins.

Aaj itne waqt baad hum dono amne saamne aane wale the.Dil mein ajeeb tarah ki ghabrahat thi.Halaki hum dono ek dusre k liye bilkul bhi ajnabi nahi the.Ek dusre ki zindagi se sire se wakif the.Bas kabhi ek dusre ko dekha nahi tha.Lekin hamesha hasrat thi dekhne ki.Ye virtual mulaqatoan ka silsila jab shuru hua jab me ek din koft me akar dunia ko alvida kahna chahti thi.Dil me gussa tha.Depression se meri tabiyat din ba din bigadti jaa rahi thi.Sochti thi is dunia me koi to hoga jo meri tarah sochta hoga.Meri tarah zindagi ko khushdili k sath jina chahta hoga.Jisey barishon me bheegna or junglon ki sair karna pasand hoga.Hasna or hasana uski aadat ho.Jisse jab baat karna shuru karu to waqt kam padne lage.

Me apne mobile ki addict hoti ja rahi thi.Din raat facebook  or instagram per haste khilkhilaatey chehrey dekhkar mujhe lagta ye log zindagi me kitne mutmayeen hain.Kya ye log asal zindagi me bhi utne hi khush hain??Is tarah k kai sawalaat mere zehen me aatey jaatey rehte.Phir mujhe gaming ka bhoot sawaar hua.Ek game jisne meri dunia badal di.

naziyam5361

Naziya M.

New Creator