Dhoni Bas itni hi kahaani thi hamari, ek semifinal match tha jo hum haar chuke the Ek kuch umpires the jo abhi bhi iss ummeed mei the ki shayad india jeet jaaye Ek jadeja tha jo koshish kar rha tha… Ek aur player Rohit jisne apna sab kuch haar diya tha humpe… Bats the, balls thi, Manchester ka field tha aur yeh ek hamaara top order tha jo fail ho chuka tha Yeh dhoni tha jo achhi strike rate maintain kar sakta tha Hum fir se ummeed laga sakte the lekin kiske liye... Saala ab uthe kaun, kaun phir se mehnat kare dil lagane ko, ummeed lagaane ko, Abe koi toh ek no ball de ke rok lo Hamara worldcup ka sapna, england Ki galiyaan, rohit ka record sab humse chooth raha tha… Hamare seene ki aag yaa toh hame match jeeta sakti hai ya hame knockout kara sakti thi Ye Jo final ki ummeed murda si aanke liye baithi hai bagal me, Aaj bhi haan bol de toh jadeja ke efforts ki kasam waapas aa jayen par nahi ab saala mood nahi, 2023 pe focus karne me hi sukh hai, move on karne me hi bhalayi hai, par uthenge kisi din Virat ke liye cheer karne ko, world cup ki khushiyon me jhoom jaane ko, world cup ke ishq me phir se padh jaane ko. [By Dinesh soni ] we miss 007😢