Naa wo hasi rahi baaki Naa wo muskan dikhi ab kahin Naa wo pehchan bachi ab Naa wo nishaan mila kahin per Wahi jo kho gayi thi Wahi jo mil nahi rahi thi Dhundhna tha jise zaruri Haa wahi to, hasi kho gayi hai kahin. Socha waham hoga mera ye Hogi yahi kahin chhupi Meri hasi, Per mili hi nahi kahin, Wo meri pehle wali hasi. Kuchh khas sa lagta tha mujhe usme Ab wo baat nhi dikhti isme Tabhi to kaha Dhundhna hai ise Naa jaane kahan baithi hai chhipi, Ab ye bejaan se dikhti hai Ab ye bekaam si lagti hai Naa ab isme Koi noor dikhta Naa Koi wajah Badi hi bewajah si ho gayi hai ye Meri hasi. Sochti thi ye doosron ke chehre pe muskan layegi, Per badi beraham ho gayi ye to, Doosre to door ,mere se bhi gayi rishta tod. Zarur muh moda hoga Maine isse kabhi, Tabhi gayi mujhse is tarah rooth, Yahi to thi bas ek Jo mujhe behad pasand thi Per kya, chali to gayi naa mujhe chhor, Or kon ?? meri hasi. Bahut khilkhilaya krti thi Kayi baar or ko bhi hasaya krti thi thodi si nasamjhi wali ho ya thodi si nakhre wali, Kabhi asli wali hoti ya kabhi thodi nakli wali, Auron ko Zarur hasaya krti thi wo, Ab to jaise mere pass aati hi nahi Naa jaane kahan gumsum baithi hogi, Or kon? Meri hasi. Mujhe bahut pyaari lagti thi . Meri hasi. .. #OpenPoetry Meri hasi