#OpenPoetry In dabi hui yaadgaro se ek khusboo aati hai ar main pagal ho jati hu. Bilkul vaise hi jaise ek adhmra chuha andhere bil se nikalne ka baad khushi se nachta hai... ar phir mar jata h.. Do minute ke us pal mein meri bhi yaadien jagti hai. ar phir vapas khi dafan ho jaati hai. Main roj sochti hu ki yeh naa ho pr roj teri yaado ki barish mujhe bhigo jaati hai. Sach khu aaj bhi teri yaad ati hai. Meri lakh koshisho ke baad bhi aaj bhi tere perfume ki mehak mujhe pighla jaati hai.. Tera vo pyaar se mujhe gale lgana, vo pyaar se mera haath sehlana, Ab sab dil k kisi kone mein dab chuka hai . Pr phir bhi yeh hayat use bhula nhi paati hai. Sach khu aaj bhi teri yaad ati hai. Vo roj shaam tera mere ghar k neeche aana , Ar awaaj lgakar mujhe bulana, Vo saath mein hmara golgaappe khana. Yeh sab ab beeti batein ho chali hai Kya kru ab vo shame vapas nhi aati hai.. Sach khu aaj bhi teri yaad ati hai. Kbhi rato mein ghanto batein krte the Aaj voh raat tanha hi kat jati hai. Ab tasalli to milti hai pr sukunaat nhi, Teri yaado ki khalish mujhe roj satati hai. Sach khu aaj bhi teri yaad ati hai. Har ashq mein khoi hui khushiyon ki jhalak hai, har saans mein beeti hui ghadiyon ki kasak hai. Najare bhi vhi hai, njaare bhi vhi hai Bus ek teri hi kami najar ati hai. Sach khu aaj bhi teri yaad ati hai. Yaad hai mujhe jab hm ek dusre ka haath pakad kr ghanto baithe rehte the, khamaoshi mein bhi ek dusre ki baatein samjh lete the. Ar naa jane kb mein tere khandhe pr sar rakhkr so jaati thi, aaj ghanto intezaar krti hu pr phir vo neend nhi aati hai Sach khu aaj bhi teri yaad aati hai #OpenPoetry