MUHABAT Muhabat kiya hai? Taseer-e-muhabat kiya hai? Mahboob ka majboor kerna or muhib ka majboor ho jana? Hamaisha easa hi ku hota hai k 7 arab say zaid logon mai hamai sirf aik easay hi shaks say muhabat ho jati hai jo hum say be-naiz hota hai? Sirf aik osi insan k peechay hum apni tamam qowatai sarf ker k apna sab har jatay hai. Ku hum zaat k bajaye wajood ki talash mai rehtay hai? Ku humai allah rah-e-rast per nhi lata? Jub keh wo to logon k dilo ko moar denay ki taqat rakhta hai. Phir ku allah humai tanha choor deta hai? Jb hum tahajud mai allah rab ul izat say ratoon ko uth ker sirf osi shaks ko mangtay hai jis say hamari zindagi ka tasalsul barqarar hai, to wo hamari ku nhi sunta? Hum say ku bekhabar ho jata hai, jesay osay kuch ilm hi nhi? Ye kesay mumkin hai k kurah e arz( کرہ ارض) per aik insan dosray insan k leye tarp raha ho or osay khabar tak hi na ho. Wo to khud kehta hai k mai tmsay 70 maaon say bhi zada muhabat kerta hoon, to phir wo ku begana ho jata hai? Osnay to wada keya hai k aee ibn e adam tu mughsay mang, mai tughay nawazoo ga, phir wo humai wo shaks ku nhi de deta jis k hum talab gar hotay hai? Hum kesay ye tawaqo ker sktay hai k jis say hum sab say zada olfat rakhtay hai wo bhi hamaray leye easay hi jazbat rakhta ho? Oskay jazbaat ki shidat bhi wohi ho jo hamaray jazbaat ki shidat hai? Jb allah hamai itni shidat say apnay pass bulata hai to kiya hum osi shidat say oskay pass jatay hai? Wo humai din mai 5 bar dawat deta hai jo hum be khoof-o- be drdi say thukra detay hai. To hum ye kesay ommed laga lain k jo amal hum kertay hai os ka azala nhi bharna ho ga? Ye duniya to makafat e amal hai. Lakin nhi! Hamara zarf allah k zarf jitna nhi hai. Hum gunnah kertay hai, mgr wo یوں apna rawaiya rakhta hai jesay osnay kuch dekha hi na ho. Wo apna rizq nhi rokta. Ye sb hamaray zheno ka fitoor hai. Bhala easay ho skta hai k hum mangay or wo na de? Wo deta zurur hai, magr wo jo hamaray leye behtr ho, na k wo jisko hum apnay leye behtr tasawur kerai. Wo duwain qabool kerta hai, magr tb jb onki qabooliyat ka behtareen waqt ho! Na keh tb jb onki qabooliyat ka baad tareen wqt ho. Wo to hamara bhala chahta hai. Wo to kehta hai na "ae ibn e adam! Ik teri chah hai or ik meri chah hai. Ho ga wohi jo meri chah hai. Bas agr tu nay khud ko sapurd ker deya oskay jo meri chah hai, to mai tujh ko wo bhi doo ga jo teri chah hai. Lakin agr tu nay mukhalfat ki oski jo meri chah hai, to mai tujh ko thaka doo ga osmai jo teri chah hai. Beshak ho ga wohi jo meri chah hai" Hum wo tamam aafaal(افعال) sar injam de rhay hotay hai jo allah ki chah k khilaf hotay hai. Hum allah ki trf say mutaain (متعین) kerdah rastay ki mukhalif simt per chal rahay hotay hai, hamai ehsas hi nhi hota k hum kis gunnah k murtaqib tehraye ja rhay hotay hai. Hum apni chah ko pora kernay ki tag-o-doo mai masroof hotay hai, or wo Allah apni chah ko pora ker k dikhata hai jismai sirf haamari bhalai shamil hoti hai. Beshak insan bara hi bekhabar waqaiya howa hai!! - Danial Hassan