Bachpan ka asmaan neela tha, rangeen patange usme dikhai deti thi, fir jhoothe khawabo ko poora karne ke liye lagayi lalach ki factory se uthte dhuyein ne, Sare asmaan ko apni giraft me le liya, mere bachpan ka asmaan ab dikhai nahi deta, mujhe yaad hai magar wo neela tha. Wapas usi jagah khada hokar mai unhi patango ko dekhta hu lekin wo is badle rang ke asmaan me gum si ho gayi kahi, kaash maine is hakeekat ki keemat pahle pahchani hoti to mere bachpan ka wo asmaan aaj bhi neela hota. #NojotoQuote neela asmaan kho gaya #bachpan #neelaasmaan #kites #pollution #kash #time #regret