Kuch or socha tha dil haarne se pehle Par tum esi hi to achi ho, Thodi shant thodi shaitan Khud mein hi gum Rehti ho, Bolti nahi ho zada Aankhon se hi keh jaati ho, Kuch or socha tha dil haarne se pehle Par tum esi hi to achi ho! Meri har Khushi Rehti hai tmhre Charo taraf, Mera har wajood basta hai tumhri aankho ki gehrayi mein, Are, gusse mein to tum or bhi khoobsurat lagti ho, Kuch or socha tha dil haarne se pehle Par tum esi hi to achi ho! Wo pehli Baar se lekar aakhri bar tk tumhe dekhna, Wo maayusi bhare chehre se tumhari har daant Sunna, Na Karti Apne pyaar ka Izhar to kitna acha hota, Shayad hmari kahani Ko Bina anjaam diye chhodna zada acha hota, Par tum bhi to meri hi tarah man-mauji ho Kuch or socha tha dil haarne se pehle Par tum esi hi to achi ho! Na Jane ab kab tumhari aankho mein khona hoga, Na Jane kab ye khoobsurat Dhokha dobara hoga, Tum ek lamha dekr hmari saalo ki yaadein taaza kar jaati ho Kuch or socha tha dil haarne se pehle Par tum esi hi to achi ho! Recreated version of Amandeep Singh's poetry #my_writings# #firstquote