Meri shakshiyat Meri pehchan khud me hi gumnaam hai... Me raaste ka vo bhikhaari hu, Jiski bheekh sabko chubti hai, Jiski awaaz ko nazar andaz kr diya jaata hai, Jiske fatte kapdo se, Uske imaan ka hisaab kr liya jaata hai Kuch isi tarah ka meri shakshiyat ka bhi haal hai, Aur us bhikhari ki jagah, meri haalat badhaal hai.. Yaaha, sunta bhi har koi hai, Dekhta bhi har koi hai, par nazar andaaz sab is tarah se kr jaate hai, Ek baar ko us bhikhari ko roti daal de, Par mujh se kyu mooh modte jaa rhe hai...? Kyu Kabhi Kabhi, sir pr chatt hona bhi aashiyana sa lagta hai, Aur kyu kabhi kabhi apno ka hona bhi Begaana sa lagta hai...? Khud se hi yeh sawaal har baar kiye jaa rha hu me, Jawaab to dhoondh rha hu, Par in sawalo me hi ulajhte jaa rha hu me... ©Hardik Negi #MERI_SHAKSHIYAT #BE_PROUD #LostInCrowd