Shagufta Dili, Tumhi Se Mili Ajab Kaifiyat Hai Nigaah Mein Ye Mohabbatein, Junoon, Lazzatein Khumaari Hai Teri Panaah Mein ! Bekhud Mizaji Se Waaqif Kara Gaye ! Neembaaj Aankhon Se Yeh Kya Sikha Gaye ! Naya Raabta, Huye Laa-pata Yeh Gum-gashtgi Kaisi Raah Mein ! Kaise Tasleem Kare’n, Rooh-e-Masroor Ko! Khushtar Adaaon Ne Poochha Yeh Noor Ko! Khushamad, Salaam, iltejaa, Ehtraam, Kya-Kya Kare’n Teri Chaah Mein! Gul-e-Yasmine Jis se Seekhe Hain Shokhiyaan ! Khushboo Bhi Aa Ke Maange Roz Nazdeekiyan ! Ghazal-Guftgu Huyi Ru-ba-ru, Ki Shaayar Khadey ishq-gaah Mein ! Khud Fursato Ne Milaaya Itminaan Se! Tahmmal,Sukun Khadey Dekhe Hain Hairan Se ! Haan Karke Deedaar Badhaa Aitbaar “Sartaaj” ka Toh Allaah Mein ! #sartaj #satinder #satindersartaj #Shagufta #Dili, Tumhi Se Mili Ajab Kaifiyat Hai Nigaah Mein Ye #Mohabbatein, Junoon, Lazzatein Khumaari Hai Teri Panaah Mein !