Sookhi nadiyao k bare me kab sochoge Ujadte janglo k bare me kab sochoge Basar kar lo khud ki jindgi bhale yuhi. Bhavi pidi k bare me kab sochoge. Nadiya khud pyasi hain aaj. Ped khud chavn ko taraste. Megho me pani ki boonde nahi. Janwar hain awaas ko taraste Khanan k khauf se kkhafa hai dharti aaj machliya pani me hain pyasi tadapti Darkhne lagi chattane nagnta se kunthit ho Padne lagi darare bhookamp se kampit ho Kude k dher si badalti ye dharti Plastic k boujh se pati ye dharti Aaj isey khaad ki jagah vish hai milta Chetrafal iska har aaye din simatta Ganaga ka jal ab garal ban chuka hai Astitva in nadiyao ka ab simat chuka hai Ban hawa jahar ab dum ghontne lagi hai Jese jindgi maut k agosh me lautne lagi hai Sawaarth me manav kuch is tarah fasa hai Ab sametne ko uske, kuch avshesh na bacha hai. Jaag jao need se ab bhi samay hai. Bacha lo jeevan ab bhi samay hai. Kudarat ka kahar Jane kab toot pade Bacha lo khud ko Kudarat se ab bhi samay hai. Jane kab is paratkrti se yun rista jodoge Sookhi nadiyao k bare me kab sochoge. Ujadte janglo k bare me kab sochoge. Basar kar lo khud ki jindgi bhale yuhi. Bhavi pidi k bare me kab sochoge. Composed by - B. S. Rautela G. H. S. S. Okhaldhunga Kotabagh, Nainital