Mai kehdu ki mita dunga saari ye doori, Mai kehdu ki tum ho buss sabse zaruri, Mai kehdu ki tum meri zindagi ho poori, Mai kehdu par kya tum kuch sun bhi rahi ho? Ye kehna ki tumhari talap hai is dil ko, Ye kehna mai samandar aur tum sahil ho, Ye kehna ki tum raah ho meri manzil ko, Mai kehdu par kya tum kuch sun bhi rahi ho? Mai kehdu toh guzar jaaye zamana ye saara, Par phir bhi na ho pura zikr tumhara, Mai kehne ko kehdu alfaaz har zubaan mein, Dikhti ho mujhe tum dua mein, khuda mein, Mai kehne ko kehdu ki sab Kuch tum hi ho, Mai kehdu par kya tum kuch sun bhi rahi ho? Wo ladaiya wo jhagde, wo betuke se masle, Phir deti thi maafi jo tum halka sa haske, Aur roothti jo thi tum kabhi aag si jalke, Mai sunata tha kahaniya kitaabo se padhke, Mai kehdu aaj phirse, kahaniya wo saari, Mai kehdu par kya tum kuch sun bhi rahi ho? Lehro ki sadao se uncha mai kehdu, Dhadkano ko, saanso ko chup mai karakar Mai kehdu samay se bhi aage nikalkar, Mai kehdu bina apne labso ko khole. Mai kehdu par kya tum kuch sun bhi rahi ho? Mai kehdu ki mita dunga saari ye doori, Mai kehdu ki tum ho buss sabse zaruri, Mai kehdu ki tum meri zindagi ho poori, Mai kehdu par kya tum kuch sun bhi rahi ho? Ye kehna ki tumhari talap hai is dil ko, Ye kehna mai samandar aur tum sahil ho, Ye kehna ki tum raah ho meri manzil ko,