#DearZindagi Zindagi ke kisi mod par aakar Wakt thehar sa jata hai Aur insan apna sara wakt Yado ke tukade jama karne me guzar deta hai Lekin wakt chalta rehta hai Bas insan thehra rehta hai Aur thehar jati hai uski har aadat Uski hasi uski khushi Uske aansu aur uski aankhe, Fir khamosh se ho jate hai alfaz Aur besudh se ho jate hai ehsas Yahi se yado ka silsila shuru hota hai Tukdo me pura jeevan yad dilata hai Yado se woh bate bhi karta hai khudme hi khoya rehta hai Aur khudse hi kuch puchta hai khud hi jawab deta Mann me hi mayus rehta hai Mann me hi yeh ghav liye firta hai Iss mod par insan Apno ke sath khudko bhi khota hai Aur bheetar mann me hi rota hai Aur mann hi mann me thehra rehta hai Wakt to chalta rehta hai Bas insan thehra rehta hai #DearZindagi Zindagi ke kisi mod par aakar Wakt thehar sa jata hai Aur insan apna sara wakt Yado ke tukade jama karne me guzar deta hai Lekin wakt chalta rehta hai Bas insan thehra rehta hai Aur thehar jati hai uski har aadat