*MAIN* Main aisa to nahein hun Afsurda tabiyat, bezauq hayati Sab rabt hain totay huay Magar jaan hai baaqi Begangi charhi hui hai Zehan pe meray Meli si lag rahi hai Mujhy ab meri khaaki Berabt chal rahi Meri sanso mei kami hai Tooti hui sanso mei Ab bhi aas hai baaqi Mein aisa to nhein hun Har pal qalam chala k Kru zaya syaahi Ap apni si beeti hui Har baat sunai Hangama macha rooh mei Awaaz hai ai Aisa nahein tu ab Magr duniya to yahi hai Sab apni sochtu hain Teri kisko pari hai Hamgamo se nikalna Kathin hai faqeer ab Duniya bani ameer se Faqeeri ki nahein hai Main aisa to nahein hun Afsurda tabiyat, bezauq hayati Sab rabt hain totay huay Magar jaan hai baaqi Begangi charhi hui hai Zehan pe meray Meli si lag rahi hai Mujhy ab meri khaaki