Chal Rahi a gaadi yu na thama hai ye safar Zindagi ki god me hai ye pal or jeenay ki dagar Kehta hai dil Chalta ja Chalta ja Abhi to Bahut afsano se mulaqat hai Ye jo hawayen Chal rahi hai Behta ja behta ja kyu tu waqt se belihaz hai? Khule parindon ki taraf dekh is kadar Yu pankh faila ye iski umid mai darbadar Aj hai Kal na ho ye zindagi To kyu khud se is kadar yu darindagi kyu dar leke betha hai tu yu hi seenay me Kuch esa kar k maza aye tuje bhi jeenay mai Ho nirbhay ese... rasta kat tu yu kanton bhara Rukh mod in hawayon ka khule maidano me ashiyan bana Duniya tuje gira dale to koi gam bhi na ho Tu kh apne se arey o man sun jo duniya se gir jayen kuch ese hum b na ho Fer.... in sabke door hone se tu kyu itna udas hai Koi na bhi ho to koi gam nhi tu khud to tere pass hai .......... Lafzon me keh na pau vo bat jo Dil me ayi hai Bhul mat is akele pan ke safar me Jo sath thi vo tanhai hai Rastey kattey nahi Akele reh k par guzare hai tune Jo chal rahi khud se khud ki Chalti jo Ladai hai Kya hai ye gam? Bas Veham hai ek farmane ko Kyu bas mayusi hai? dil se nikal is nakami ko Tu aaghe badh ye to chalta rahega Girana to adat hai awam ki Tu gir kar bhi sambhlta rahega Or Jo ye waqt hai Vo thehrta hi nahi Jazbaton ke andhere mai kahi kho na jana tu kabhi Har pal has or auron ko bhi bta tu khud par kehar na dhyega Tuje is zindagi ka mila hai pta Ab to zindagi jeenay mai or bhi maza ayega Zindagi